Tuesday, 22 June 2010

jalti hui raakh

hoton se laga kar
dil ko jalate rahain
har fikr, har gum ko
dhuon main udate chalain...

bahut socha
par samjh na payaain
kya the, ka the woh wade
jo hamne nibhaye

na chah ke bhi
tumhari yadoon ko bhulate rahain...
tum ek din jaroor aaogi
yehi kah kar
dil ko bahlate rahain...

No comments: